Dhal chukii shaam-e-Gam muskaraa le sanam
ik na_ii subah duniyaa me.n aane ko hai
pyaar sajane lagaa saaj bajane lagaa
zindagii dil ke taaro.n pe gaane ko hai
Dhal chukii shaam-e-Gam ...
aaj paayal bhii hai naGmaa-e-dil bhii hai
ra.ng-e-ulfat bahaaro.n me.n shaamil bhii hai
aa ga_ii hai milan kii suhaanii gha.Dii
vaqt kii taal pe ( naachatii hai Kushii ) -2
ghu.Ngharu_o.n kii sadaa ra.ng laane ko hai
Dhal chukii shaam-e-Gam ...
jhuumate aa rahe hai.n zamaane na_e
hasarate.n gaa rahii hai.n taraane na_e
aaj dil kii tamannaa nikal jaa_egii
giit hogaa vahii ( lay badal jaa_egii ) -2
ik nayaa raag qismat sunaane ko hai
Dhal chukii shaam-e-Gam ...
|