giitaayan An Interface to ISB

dil kaa afasaanaa sunaate hai.n ... chale.nge tiir jab dil par - Kohinoor (1960)  

Lyrics: Shakeel | Music: Naushad | Singer(s): Lata, Rafi 
View in Nagari (Hindi)
dil kaa afasaanaa sunaate hai.n sunaane vaale kaash samajhe.n naa mohabbat ko miTaane vaale pyaar kaa naam bhii lete hu_e Dar lagataa hai tiir khe.nche hu_e baiThe hai.n zamaane vaale chale.nge tiir jab dil par to aramaano.n kaa kyaa hogaa tuTegaa ghar to phir is ghar ke mehamaano.n kaa kyaa hogaa sunaa hai ishq me.n aate hai.n din aaho.n ke naalo.n ke abhii tak to salaamat hai garebaa.N ishq vaalo.n ke agar fasal-e-bahaar aa_ii to diivaano.n kaa kyaa hogaa chale.nge tiir jab ... uThaa hai shor-e-maatam shamaa tere jaa.N-nisaaro.n me.n abhii to dil hii jalate hai.n mohabbat ke sharaaro.n me.n kisii ne par jalaa Daale to paravaano.n kaa kyaa hogaa chale.nge tiir jab ... adhuure hai.n abhii puure nahii.n kisse mohabbat ke abhii to dil me.n poshiidaa.N hai.n afasaane qayaamat ke haqiiqat ho ga_ii zaahir to afasaano.n kaa kyaa hogaa chale.nge tiir jab ... sunaa hai jaam-e-ulfat me.n balaa kaa josh hai saaqii abhii to dil hai qaabuu me.n abhii to hosh hai baaqii agar pii kar bahak uThe to mastaano.n kaa kyaa hogaa chale.nge tiir jab ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.