kachche dhaage ke saath jise baa.Ndh liyaa jaa_e
vo bandii kyaa chhuuTe vahii.n pe ji_e vahii.n mar jaa_e
kachche dhaage ke ...
jin pe chal na paa_e za.njiiro.n kii joraa-zorii
unako khii.nch ke le aa_e kachchii resham kii Dorii
kisii ne sach hii kahaa hai ki
do hii baato.n ke biich man kaa miit ban jaa_e
vo dushman jo ba.De-ba.Do.n ke kabhii haath na aa_e
kachche dhaage ke ...
aisaa bhii aataa hai ko_ii mast pavan kaa jho.nkaa
ga.ngaa-jal pe bhii ho jaataa hai madiraa kaa dhokhaa
kisii ne sach hii kahaa hai ki
jhuuThe vaade ke saath jise to.D diyaa jaa_e
vo bandhan kyaa ju.De ju.De to ju.De gaa.nTh pa.D jaa_e
kachche dhaage ke ...
man-mandir me.n suurat terii roz karuu.N mai.n puujaa
meraa tere dvaar binaa priitam naahii.n ghar duujaa
kisii ne sach hii kahaa hai ki
sachche naate ke saath jise prem kiyaa jaa_e
vo pa.nchhii kyaa u.De u.De to u.De lauT kar aa_e
kachche dhaage ke ...
|