giitaayan An Interface to ISB

tum\-tum taraaraa ... chanaa jor garam baabuu - Kraanti (1981)  

Lyrics: Santosh Anand | Music: Laxmikant-Pyarelal | Singer(s): Rafi, Kishore, Lata, Nitin Mukesh 
View in Nagari (Hindi)
la : tum-tum taraaraa tum-tum taram ki : tum-tum taraaraa tum-tum taram la : tum-tum taram-taram ki : tum-tum taram-taram do : duniyaa ke ho.n laakh dharam par apanaa ek dharam chanaa zor garam la : chanaa zor garam baabuu mai.n laa_ii mazedaar chanaa zor garam ki : chanaa zor garam baabuu mai.n laayaa mazedaar chanaa zor garam la : meraa chanaa banaa hai aalaa jisame.n Daalaa garam-masaalaa isako khaa_egaa dilavaalaa chanaa zor garam ki : meraa chanaa khaa gayaa goraa-goraa khaa ke ban gayaa taga.Daa gho.Daa maine paka.D ke use maro.Daa maar ke Ta.nga.Dii usako to.Daa chanaa zor garam chanaa zor garam baabuu ... la : mere chane kii aa.Nkh sharaabii-sharaabii chane kii aa.Nkh sharaabii ho isake dekho gaal gulaabii-gulaabii dekho gaal gulaabii ki : ho isakaa ko_ii nahii.n javaabii jaise ko_ii ku.Dii pa.njaabii do : naache chhanan-chhanan -2 la : koThe cha.Dh ke tainuu pukaaraa.n sun le mere balam chanaa zor garam baabuu ... ni : meraa chanaa khaa ga_e gore-gore meraa chanaa khaa ga_e gore o gore jo ginatii me.n the tho.De o phir bhii maare.n hamako ko.De la : tum-tum taram-taram ni : laakho.n ko.De TuuTe phir bhii TuuTaa na dam-kham chanaa zor garam chanaa zor garam baabuu ... ra : o meraa chanaa hai apanii marzii kaa ni : marzii kaa bha_ii marzii kaa ra : meraa chanaa hai apanii marzii kaa ni : marzii kaa bha_ii marzii kaa ra : ye dushman hai Kudagarzii kaa Kudagarzii kaa ni : Kudagarzii kaa ra : sar qafan baa.Ndh kar nikalaa hai diivaanaa hai ye pagalaa hai meraa chanaa hai apanii marzii kaa ni : marzii kaa bha_ii marzii kaa apano.n se naataa jo.Degaa Gairo.n ke sar ko pho.Degaa apanaa ye vachan nibhaa_egaa maaTii kaa karz chukaa_egaa ra : miT jaane ko miT jaa_egaa aazaad vatan ko karaa_egaa la : na to chorii hai na to Daakaa hai bas ye to ek dhamaakaa hai ni : dhamaake me.n aavaaz bhii hai la : ik soz bhii hai ik saaz bhii hai ki : samajho to ye baat saaf bhii hai la : aur na samajho to raaz bhii hai ra ni : apanii dharatii apanaa hai gagan ye meraa hai meraa hai vatan -2 is par jo aa.Nkh uThaa_egaa zindaa dafanaayaa jaa_egaa ra : meraa chanaa hai apanii marzii kaa ko : marzii kaa bha_ii marzii kaa ra : ye dushman hai Kudagarzii kaa ko : Kudagarzii kaa Kudagarzii kaa
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.