giitaayan An Interface to ISB

ho ke maayuus tere dar se savaalii na gayaa - Lailaa Majnun (1976)  

Lyrics: Sahir | Music: Madan Mohan | Singer(s): Rafi, Aziz Nazaa, Shankar Shambhu, Ambar Kumar 
View in Nagari (Hindi)
ra : ho ke maayuus tere dar se savaalii na gayaa jholiyaa.N bhar ga_ii.n sabakii ko_ii khaalii na gayaa a : tere darabaar me.n jo bhii pareshaa.N ho ke aa_e du_aa_e.N de ke jaa_e aur muraade.n le ke aa_e tuu rahamat kaa farishtaa hai tuu uja.De ghar basaa_e tuu ruuho.n kaa masiihaa hai tuu har Gam kii davaa hai ahal-e-dil aha-e-mohabbat pe inaayat hai terii tuune Duubo.n ko ubaaraa hai ye shoharat hai terii anokhii shaan terii niraalii aan terii tuu mastii kaa Kazaanaa teraa har dil diivaanaa tuu mahabuub-e-Kudaa hai tuu har Gam kii davaa hai tabhii to sab ( kahate hai.n ) -3 ho ke maayuus tere ... ra : jamaal-e-yaar dekhaa hai ruK-e-diladaar dekhaa kisii kaa naazanii.n jalavaa sar-e-darabaar dekhaa tamannaa_o.n ke saharaa me.n hasii.n gulazaar dekhaa jabase dekhaa hai tujhe dil kaa ajiib aalam hai jaan-o-iimaa.N bhii agar nazar karuu.N to kam hai thaa jo sunane me.n aayaa tujhe vaisaa hii paayaa tuu aramaano.n kii ma.nzil tuu ummiido.n kaa saahil tuu har biga.Dii banaa_e tuu bichha.Do.n ko milaa_e tabhii to sab ( kahate hai.n ) -3 ho ke maayuus tere ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.