giitaayan An Interface to ISB

tuu kaalaa mai.n gorii balam torii morii bhalaa ab - Light House (1958)  

Lyrics: Sahir | Music: N Dutta | Singer(s): Rafi, Asha 
View in Nagari (Hindi)
aa : tuu kaalaa mai.n gorii balam torii morii bhalaa ab kaise jamegii ra : jaise chaa.Nd-chakorii pata.ng aur Dorii sadaa ab aise jamegii ko : o ab aise jamegii ... aa : mai.n alabelii naar navelii aa_ii huu.N koso.n chal ke a.ng-a.ng se mastii Tapake nainan se madiraa chhalake chalate raahii ruk jaa_e.N jab aa.Nchal moraa Dhalake mujhase aa.Nkh milaanaa ho to aanaa ruup badal ke ko : o bhalaa ab kaise jamegii ... ra : ye duniyaa ye duniyaa vaale sabake sab hai.n paajii dilavaalo.n ke biich me.n yuu.N hii ban jaate hai.n kaajii naa khele.n naa khelane.n de.n bekaar bigaa.De.n baazii in sabako chuulhe me.n Daalo tum raazii ham raazii ko : o sadaa ab aise jamegii ... aa : runajhun moraa ka.nganaa baaje chhunachhun paayal bole is paayal kii chhanan-chhanan par laakho.n kaa dil Dole jahaa.N bhii jaa_uu.N dilavaalo.n kaa jamaghaT piichhe ho le kuchh sharamaa ke kuchh ghabaraa ke dil moraa yuu.N bole ko : bhalaa ab kaise jamegii ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.