giitaayan An Interface to ISB

mohabbat kii duniyaa me.n barabaad rahanaa - Lakeeren (1954)  

Lyrics: Shevan Rizvi | Music: Hafiz Khan | Singer(s): Geeta, Talat 
View in Nagari (Hindi)
gii : mohabbat kii duniyaa me.n barabaad rahanaa magar kuchh naa kahanaa mohabbat kii duniyaa me.n zamaane ke ye dukh-o-dard ha.Ns-ha.Ns ke sahanaa magar kuchh naa kahanaa mohabbat kii duniyaa me.n ta : mere dil kaa shiishaa agar TuuT jaaye aur haatho.n se daaman teraa chhuuT jaaye daaman teraa chhuuT jaaye gii : to Kud ban ke aa.Nsuu in aa.Nkho.n se bahanaa -2 magar kuchh naa kahanaa mohabbat kii duniyaa me.n ta : sunaa_uu.N kise apane Gamo.n kaa fasaanaa -2 dhu_aa.N de rahaa hai meraa aashiyaanaa meraa aashiyaanaa gii : tamaashaa samajh kar tuu ha.Nsii pal (?) hii rahanaa -2 magar kuchh naa kahanaa mohabbat kii duniyaa me.n ta : bigaa.Daa thaa maine bhalaa kyaa kisii kaa -2 jo luuTaa gayaa yuu.N chaman zindagii kaa yuu.N chaman zindagii kaa gii : hai duniyaa me.n rahanaa to Gam yuu.N hii sahanaa -2 magar kuchh naa kahanaa mohabbat kii duniyaa me.n
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.