giitaayan An Interface to ISB

mujhe le chalo aaj phir us galii me.n - Sharabi (1964)  

Lyrics: Rajinder Krishan | Music: Madan Mohan | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
mujhe le chalo, aaj phir us galii me.n jahaa.N pahale-pahale, ye dil la.Dakha.Daayaa vo duniyaa, vo merii mohabbat kii duniyaa jahaa.N se mai.n betaabiyaa.N leke aayaa mujhe le chalo ... jahaa.N so rahii hai merii zi.ndagaanii jahaa.N chho.D aayaa mai.n apanii javaanii vahaa.N aaj bhii ek chaukhaT tazaa mohabbat ke sajaado.n kii hogii nishaanii -2 mujhe le chalo ... vo duniyaa jahaa.N usake naqsh-e-kadam hai.n vahii.n merii khushiyaa.N, vahii.n mere Gam hai.n mai.n le aauu.Ngaa khaak us rahaguzar kii ke us rahaguzaraa kii, to zarre sanam hai -2 mujhe le chalo ... vahaa.N ek ra.Ngee.n chilaman ke piichhe chamakataa huaa usakaa, ruKasaar hogaa basaa luu.Ngaa aa.Nkho.n me.n vo roshanii mai.n yuu.N hii kuchh ilaaj-e-dil-e-zaar hogaa -2 mujhe le chalo ... mujhe le chalo, aaj phir us galii me.n jahaa.N pahale-pahale, ye dil la.Dakha.Daayaa vo duniyaa, vo merii mohabbat kii duniyaa jahaa.N se mai.n betaabiyaa.N leke aayaa mujhe le chalo ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.