giitaayan An Interface to ISB

na koii uma.ng hai, na koii tara.ng hai - Kati Patang (1970)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: R D Burman | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
na koii uma.ng hai, na koii tara.ng hai merii zi.ndagii hai kyaa, ik kaTii pata.ng hai aakaash se girii mai.n, ik baar kaT ke aise duniyaa ne phir na puuchhaa, luuTaa hai mujhako kaise na kisii kaa saath hai, na kisii kaa sa.ng merii zi.ndagii hai kyaa, ik kaTii pata.ng hai lag ke gale se apane, baabul ke mai.n na ro sakii Dolii uThii yuu.N jaise, arthii uThii ho kisii ki yahii dukh to aaj bhii meraa a.ng sa.ng hai merii zi.ndagii hai kyaa, ik kaTii pata.ng hai sapano.n ke devataa kyaa, tujhako karuu.N mai.n arpaN patajha.D kii mai.n huu.N chhaayaa, mai.n aa.Nsuo.n kaa darpan yahii meraa ruup hai yahii meraa ra.Ng hai merii zi.ndagii hai kyaa, ik kaTii pata.ng hai
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.