giitaayan An Interface to ISB

jhuum\-jhuum ke do diivaane gaate jaa_e.N galii\-galii - Mastaanaa (1954)  

Lyrics: Rajinder Krishan | Music: Madan Mohan | Singer(s): Rafi, Laxmi Shankar 
View in Nagari (Hindi)
jhuum-jhuum ke do diivaane gaate jaa_e.N galii-galii apanii dhun me.n mastii kaa paiGaam sunaa_e.N galii-galii -2 ( duniyaa vaalo.n ) -2 ye duniyaa hai bastii kisake baap kii aaj agar hai kal naa hogii yahaa.N zaruurat aap kii -2 jhuum-jhuum ke ... naa jaane ye muurakh duniyaa paise kii kyo.n daas hai chaar roTiyaa.N ek la.ngoTii baaqii sab baqavaas hai -2 jhuum-jhuum ke ... aag peT kii kyaa-kyaa maa.Nge roTii ke do Tuka.De ba.De log phir kyo.n karate noTo.n ke sau Tuka.De diivaane ko mastaane ko baat ye dil kii kahane do mahalo.n vaalo.n mahal ke niiche kuTiyaa ko bhii rahane do -2 jhuum-jhuum ke ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.