giitaayan An Interface to ISB

mujhe jab apanii ... ai mere dost ai mere hamadam - Meharbaan (1967)  

Lyrics: Rajinder Krishan | Music: Ravi | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
mujhe jab apanii guzarii zindagaanii yaad aatii hai to bas ik meharabaa.N kii meharabaanii yaad aatii hai ai mere dost ai mere hamadam vo teraa Gam thaa yaa Kushii merii har jagah tuune meraa saath diyaa ai mere dost ... kaun thaa tuu kahaa.N se aayaa thaa aaj tak maine ye nahii.n jaanaa -2 tuu merii ruuh thaa magar maine tere jaane ke baad pahachaanaa ai mere dost ... tuu sudaamaa bhii hai aur kanhaiyaa bhii kanhaiyaa kanhaiyaa tuu bhikhaarii bhii hai aur daataa bhii tere sau ra.ng hai.n mere pyaare tuu hii pyaasaa hai aur tuu hii jharanaa bhii ai mere dost ... tuu merii bebasii ke aalam me.n jab kabhii mujhako yaad aataa hai sochakar meharabaaniyaa.N terii dil meraa baiTh-baiTh jaataa hai ai mere dost ... aaKharii arz merii tujhase hai har Kataa merii daraguzar karanaa vo gha.Dii aa rahii hai jab mujhako is zamaane se hai safar karanaa ai mere dost ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.