giitaayan An Interface to ISB

mai.n bha.Nvaraa tuu hai phuul ye din mat bhuul - Mela (1948)  

Lyrics: Shakeel | Music: Naushad | Singer(s): Mukesh, Shamshad 
View in Nagari (Hindi)
mu : mai.n bha.Nvaraa tuu hai phuul ye din mat bhuul javaanii lauT ke aa_e naa sha : man gaa_e tere giit basaa kar priit mohe kuchh tujh bin bhaa_e naa mu : tuu suuraj mai.n ujiyaaraa hai ab jiivan bhar kaa mel suno jii priit nahii.n hai khel sha : yah jiivan mujhako pyaaraa ji_uu.N mai.n duniyaa ke dukh jhel o priitam aag se kheluu.N khel mu : is dil kii hai dil se laag khule hai.n bhaag ye duniyaa hamako sataa_e naa do : mai.n bha.Nvaraa tuu hai ... sha : tuu meraa hai mai.n terii saajan mai.n raadhaa tuu shyaam japuu.N mai.n haradam teraa naam mu : mai.n teraa huu.N tuu merii chale.nge priit kaa daaman thaam hame.n duniyaa se nahii.n hai kaam sha : bedard hai yah sa.nsaar chale.n us paar jahaa.N dukh bhuul ke jaa_e naa do : mai.n bha.Nvaraa tuu hai ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.