giitaayan An Interface to ISB

na_ii ma.nzil na_ii raahe.n nayaa hai maharbaan apanaa - Hill Station (1957)  

Lyrics: S H Bihari | Music: Hemant Kumar | Singer(s): Lata, Hemant 
View in Nagari (Hindi)
##Duet version## na_ii ma.nzil na_ii raahe.n nayaa hai maharabaa.N apanaa na jaane jaake Thaharegaa kahaa.N yah kaaravaa.N apanaa na chamakegii jahaa.N bijalii na aaegaa jahaa.N tuufaa.N banaae.Nge usii Daalii pe jaake aashiyaa.N apanaa bharosaa hai muqaddar par tumhaaraa bhii sahaaraa hai kahii.n dushman na ban jaae yah zaalim aasamaa.N apanaa dikhaae.Nge hame.n ye chaa.Nd-taare raah ma.nzil kii banaate ho agar dushman to ho saaraa jahaa.N apanaa ----- ##Lata solo## na_ii ma.nzil na_ii raahe.n nayaa hai maharabaa.N apanaa na jaane jaake Thaharegaa kahaa.N yah kaaravaa.N apanaa bahaar aaii hai gulashan me.n, khilii hai.n har taraf kaliyaa.N kamii kyaa hai jo ruuThaa hai chaman se baaGabaa.N apanaa lagii meha.Ndii, banii dulhan, bajii shahanaaiiyaa.N lekin yah merii badanasiibii hai ki suunaa hai jahaa.N apanaa
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.