tabiyat thiik thii aur dill bhii beqaraar na thaa
( tabiyat thiik thii aur dill bhii beqaraar na thaa
ye tab kii baat hai ke jab kisii se pyaar na thaa ) -2
na thii.n bechainiyaa.N betaabiyaa.N aur Gam bhii na thaa
ko_ii mahabuub na thaa ko_ii bhii hamadam nahii.n na thaa
kisii (?) kaa aur i.ntazaar na thaa
ye tab kii baat hai ke jab kisii se pyaar na thaa
tabiyat thiik thii aur dill bhii beqaraar na thaa
ye tab kii baat hai ke jab kisii se pyaar na thaa
kisii paraaye kii baato.n me.n ye miThaas (?) na thii
mere pe (?) aaj dil ko to ko_ii bhii aas na thii
kisii ke jhuuThe vaado.n pe bhii aitabaar na thaa
ye tab kii baat hai ke jab kisii se pyaar na thaa
merii nii.ndo.n kii duniyaa me.n kisii ke sapane na the
jahaa.N ke dard aur dukh bhii mere apane na the
meraa dil Tha.NDii aah kaa kabhii shikaar na thaa
ye tab kii baat hai ke jab kisii se pyaar na thaa
tabiyat thiik thii aur dill bhii beqaraar na thaa -2
ye tab kii baat hai ke jab kisii se pyaar na thaa
|