kahii.n aah ban ke lab pe teraa naam aa naa jaaye
tujhe bewafaa kahuu.N mai.n wo maqaam aa naa jaaye
kahii.n aah ban ke lab pe teraa naam
zaraa zulf ko sambhaalo meraa dil dha.Dak rahaa hai
meraa dil dha.Dak rahaa hai
ko_ii aur taayar-e-dil tah-e-daam aa naa jaaye
kahii.n aah ban ke lab pe teraa naam
% taayar-e-dil: the heart as a bird
% tah-e-daam: get caught in the nest (of her zulf).
jise sun ke TuuT jaaye meraa aarazuu bharaa dil
meraa aarazuu bharaa dil
terii a.njuman se mujhako wo payaam aa naa jaaye
kahii.n aah ban ke lab pe teraa naam
wo jo ma.nzilo.n pe jaa ke kisii hamasafar ko luuTe.n
kisii hamasafar ko luuTe.n
unhii.n rahazano.n me.n teraa kahii.n naam aa na jaaye
kahii.n aah ban ke lab pe teraa naam
ye mah-o-najuum ha.Ns le.n mere aa.Nsu_o.N pe 'jaalib'
mere aa.Nsu_o.N pe 'jaalib'
meraa maahataab jab tak lab-e-baam aa naa jaaye
kahii.n aah ban ke lab pe teraa naam aa naa jaaye
kahii.n aah ban ke lab pe teraa naam
teraa naam -3
|