(sa.Nbhaalaa hai mai.nne bahut apane dil ko)-2
zubaa.N par teraa phir bhii naam aa rahaa hai
(jahaa.N raaz ko chhupaayaa na jaa_e)-2
mohabbat me.n aisaa makaam aa rahaa hai
(sa.Nbhaalaa hai mai.nne bahut apane dil ko)-2
zubaa.N par teraa phir bhii naam aa rahaa hai
sa.Nbhaalaa hai mai.nne bahut apane dil ko
(banaayaa hai mai.nne tujhe apanaa saaqii
% he says rahe; shouldn't it be rahe.n?
rahe kis tarah phir mere hosh baakii)-2
rahe kis tarah phir mere hosh baakii
(nazar yuu.N bahakane lagii hai ki jaise)-2
mere saamane ko_ii jaam aa rahaa hai
sa.Nbhaalaa hai mai.nne bahut apane dil ko
zubaa.N par teraa phir bhii naam aa rahaa hai
jahaa.N raaz ko chhupaayaa na jaa_e
mohabbat me.n aisaa makaam aa rahaa hai
sa.Nbhaalaa hai mai.nne bahut apane dil ko
(ye zulfo.n ke baadal ghanere ghanere
mere baazu_o.n par jo tuune bikhere)-2
mere baazu_o.n par jo tuune bikhere
(mai.n samajhaa ki jaise merii dha.Dakano.n ko)-2
terii dha.Dakano.n kaa payaam aa rahaa hai

|