giitaayan An Interface to ISB

taaro.n bharii raat sajan taaro.n bharii raat - Natak (1947)  

Lyrics: Shakeel | Music: Naushad | Singer(s): Suraiya, Chorus 
View in Nagari (Hindi)
su : ho taaro.n bharii raat sajan -2 taaro.n bharii raat ko : ho taaro.n bharii raat sajan taaro.n bharii raat su : ho ab aise me.n aavo ab aise me.n aavo to kahuu.N tumase mai.n ek baat sajan ko : o tumase mai.n ek baat taaro.n bharii raat sajan taaro.n bharii raat su : dil-dil se mile aur nigaaho.n se nigaahe.n ko : dil-dil se mile aur nigaaho.n se nigaahe.n su : ye mast nazaare kii tumhe.n dekhanaa chaahe tumhe.n dekhanaa chaahe ko : ye mast nazaare kii tumhe.n dekhanaa chaahe tumhe.n dekhanaa chaahe su : tum aise me.n aa jaa_o -2 to ho jaaye mulaaqaat sajan ko : ho jaaye mulaaqaat taaro.n bharii raat sajan taaro.n bharii raat su : ghanaghor ghaTaa_o.n ko widaa de kar nikaalaa ko : ghanaghor ghaTaa_o.n ko widaa de kar nikaalaa su : phir chaa.Nd ke jalawo.n ne kiyaa dil me.n ujaalaa kiyaa dil me.n ujaalaa ko : phir chaa.Nd ke jalawo.n ne kiyaa dil me.n ujaalaa kiyaa dil me.n ujaalaa su : ho aa jaa_o ke aa jaa_o ke ab sach me.n hu_ii naino.n kii barasaat sajan ko : ho naino.n kii barasaat taaro.n bharii raat sajan taaro.n bharii raat ho taaro.n bharii raat sajan taaro.n bharii raat
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.