giitaayan An Interface to ISB

chaahat hai kyaa ... ho jaataa hai ye pyaar kiyaa nahii.n jaataa - Pyaar Kiya Nahin Jaata (2002)  

Lyrics: Praveen Bhardwaj | Music: Anand Raj Anand | Singer(s): Anuradha Paudwal 
View in Nagari (Hindi)
chaahat hai kyaa kyaa pataa sa.ngadil ko kisii din diivaane se diivaane dil ko ho jaataa hai ye pyaar kiyaa nahii.n jaataa chaahat hai kyaa ... kis mo.D pe kaun kaisaa milegaa kisako hai isakii khabar naa jaane kab kisakii nazaro.n kaa jaaduu kar jaa_e kisape asar ho jaataa hai ye ikaraar kiyaa nahii.n jaataa ho jaataa hai ye ... bha.nvare ko gulashan me.n ik gul pe maranaa ma.nDaraanaa usape use pyaar karanaa kaliyo.n kaa shabanam se milake nikharanaa giito.n kaa saragam se milake sa.nvaranaa paravaane kaa shammaa ke saath jalanaa majanuu kaa lailaa se marake bhii milanaa kisse to hai.n beshumaar kahaa nahii.n jaataa huu.n ho jaataa hai ye ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.