giitaayan An Interface to ISB

jab tujhe maine dekhaa nahii.n thaa - Pyaar Ishq Aur Mohabbat (2001)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: Viju Shah | Singer(s): Udit Narayan, Sadhana Sargam 
View in Nagari (Hindi)
jab tujhe maine dekhaa nahii.n thaa is tarah maine sochaa nahii.n thaa ko_ii bhii kuchh bhii aisaa nahii.n thaa ko_ii bhii tere jaisaa nahii.n thaa jab tujhe maine dekhaa to jaanaa khuubasuurat hai kitanaa zamaanaa jab tujhe maine ... yahii shahar thaa gulasitaa.n thaa yahii phuul the ye samaa.n thaa ka_ii baar guzaraa mai.n yahaa.n se par meraa dil na jaane kahaa.N thaa jab tujhe maine dekhaa to jaanaa uf ye mausam hai kitanaa suhaanaa zi.ndagii thii yaa ko_ii pahelii haa.N ye raahe.n thii.n kitanii akelii mai.n yuu.n hii chalii jaa rahii thii duur ma.nzil nazar aa rahii thii jab tujhe maine dekhaa to jaanaa bas kahii.n ab nahii.n mujhako jaanaa jab tujhe maine ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.