giitaayan An Interface to ISB

maine jii liyaa mar liyaa prem kar liyaa ... jitanaa Daranaa thaa Dar liyaa - Prem (1995)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: Laxmikant-Pyarelal | Singer(s): Alka Yagnik, Nalin Dev 
View in Nagari (Hindi)
maine jii liyaa mar liyaa prem kar liyaa jitanaa Daranaa thaa Dar liyaa prem kar liyaa prem kar liyaa ... har ek prem kahaanii me.n is dariyaa ke paanii me.n Duub ga_e naadaanii me.n kitane log javaanii me.n prem kaa hamako sahaaraa nahii.n lenaa tay kar liyaa prem kar liyaa ... duniyaa vaale kahate hai.n prem galii jo rahate hai.n dard hazaaro.n sahate hai.n aa.Nkh se aa.Nsuu bahate hai.n prem galii me.n hii rahane ko hamane ghar liyaa prem kar liyaa ... hai zaalim sa.nsaar kahaa.n raste hai.n diivaar kahaa.n aa_e hai.n majhadhaar kahaa.n kaaTe hai.n talavaar kahaa.n hamane aaj hathelii pe sar apanaa dhar liyaa prem kar liyaa ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.