giitaayan An Interface to ISB

o beTaa jii, kismat kii havaa kabhii garam - Albela (1951)  

Lyrics: Rajinder Krishan | Music: C Ramchandra | Singer(s): Chitalkar 
View in Nagari (Hindi)
kabhii kaalii ratiyaa, kabhii din suhaane kismat kii baate to kismat hii jaane o beTaa jii, are o baabuu jii, kismat kii hava kabhii naram, kabhii garam kabhii naram-naram, kabhii garam-garam, kabhii naram-garam naram-garam re o beTaa jii ba.De aka.D se beTaa nikale ghar se #actor# hone vaah rii kismat, vaah rii kismat, kismat me.n the likhe baratan dhone are bha_ii likhe baratan dhone o beTaa jii, jiine kaa mazaa kabhii naram, kabhii garam ... duniyaa ke is chi.Diyaa ghar me.n tarah tarah kaa jalavaa mile kisii ko suukhii roTii, kisii ko puurii halavaa are bha_ii kisii ko puurii halavaa o beTaa jii, khicha.Dii kaa mazaa kabhii naram, kabhii garam ... dard diyaa to tho.Daa tho.Daa, khushii bhii tho.Dii tho.Dii vaah re maalik, vaah re maalik, duHkh aur sukh kii khuub banaayii jo.Dii are vaah khuub banaayii jo.Dii o beTaa jii, jiivan kaa nashaa kabhii naram, kabhii garam ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.