giitaayan An Interface to ISB

nuktaachii.n hai Gam\-e\-dil usako sunaaye na bane - Ghalib (Pakistan) (1962)  

Lyrics: Mirza Ghalib | Music: Tasadduq Husain | Singer(s): Noorjehan 
View in Nagari (Hindi)
aa nuktaachii.n hai, Gam-e-dil usako sunaaye na bane kyaa bane baat jahaa.N baat banaaye na bane nuktaachii.n hai, Gam-e-dil Gair phirataa hai liye yuu.N tere Kat ko ke agar -2 ko_ii puuchhe ke ye kyaa hai to chhupaaye na bane nuktaachii.n hai, Gam-e-dil mai.n bulaataa to huu.N usako magar ai jazbaa-e-dil us pe ban jaaye kuchh aisii ki bin aaye na bane nuktaachii.n hai, Gam-e-dil ishq par zor nahii.n hai ye vo aatish Gaalib -2 ke lagaaye na lage aur bujhaaye na bane nuktaachii.n hai, Gam-e-dil usako sunaaye na bane nuktaachii.n hai, Gam-e-dil
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.