giitaayan An Interface to ISB

kal raat vaalii mulaakaat ke li_e har baat ke li_e maaf kiiji_e - Raja Saab (1969)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: Kalyanji-Anandji | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
( kal raat vaalii mulaakaat ke li_e har baat ke li_e maaf kiiji_e maaf kiiji_e ) -2 aa_iinaa naa dekhi_e merii suurat dekhi_e siidhii-saadii bholii-bhaalii merii muurat dekhi_e aadamii shariif nahii.n huu.N mai.n kyaa bhalaa qaabil-e-taariif nahii.n huu.N mai.n kyaa bhalaa aap hii ye i.nsaaf kiiji_e -2 maaf kiiji_e -4 merii kyaa mazaal hai jo mai.n daaman thaam luu.N taubaa-taubaa merii taubaa aapakaa mai.n naam luu.N vo paravaanaa vo mastaanaa ko_ii aur thaa mai.n nahii.n thaa vo diivaanaa ko_ii aur thaa maan jaa_i_e dil saaf kiiji_e -2 maaf kiiji_e -4 suni_e janaab ye merii pahalii bhuul hai pahalii bhuul maaf ho ye duniyaa kaa asuul hai aap jo na ho.nge ajii ham pe meharabaa.N aapko sitamaGar kahegaa ye jahaa.N aur kyaa kahuu.N maaf kiiji_e maaf kiiji_e -4 kal raat vaalii ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.