giitaayan An Interface to ISB

tumhe.n ham yaad karate hai.n - Rukhsaanaa (1955)  

Lyrics: Tanveer Naqvi | Music: Sajjad Hussain | Singer(s): Asha 
View in Nagari (Hindi)
tumhe.n ham yaad karate hai.n -2 kahaa.N ho tum kahaa.N ho tum yahii fariyaad karate hai.n tumhe.n ham yaad karate hai.n -2 ( luTaa kar apanii duniyaa ham chale hai.n terii mahafil se ) -2 Kushii me.n jo Guzaaraa wo zamaanaa yaad karate hai.n tumhe.n ham yaad karate hai.n -2 ( ummide.n hai.n na Kushiyaa.N hai.n uma.nge.n hai.n na aramaa.N hai.n ) -2 tumhaare Gam se ab dil kaa jahaa.N aabaad karate hai.n tumhe.n ham yaad karate hai.n -2 kahaa.N ho tum kahaa.N ho tum yahii fariyaad karate hai.n tumhe.n ham yaad karate hai.n -2
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.