giitaayan An Interface to ISB

hai ye zamii.n hamaarii ... saaraa jahaa.N hamaaraa hai - Sara Jahan Hamara (1961)  

Lyrics: Qamil Chandpuri | Music: Babul | Singer(s): Mukesh 
View in Nagari (Hindi)
hai ye zamii.n hamaarii vo aasamaa.n hamaaraa lo aaj vaqt badalaa saaraa jahaa.N hamaaraa hai hai ye zamii.n hamaarii ... ham jis taraf chale hai.n duniyaa badal ga_ii hai tuufaan haT gayaa hai aa.Ndhii sa.mbhal ga_ii hai karataa hai naaz khud par har ek javaa.n hamaaraa lo aaj vaqt badalaa ... kashtii ko le chale maujo.n pe ham Kushii kii aavaaz aa rahii hai kaano.n me.n zindagii kii roke nahii.n rukegaa ab kaaravaa.n hamaaraa lo aaj vaqt badalaa ... ye chimaniyaa.n milo.n kii ye taaj kii miinaare.n ga.ngaa kii bahatii mauj jamanaa ke tej dhaare dharatii kaa zarraa zaraa hai raazadaa.n hamaaraa lo aaj vaqt badalaa ... paiGaam de rahe hai.n ham sabako dostii kaa Da.nkaa bajaa rahe hai.n ham duniyaa me.n shaa.nti kaa insaaniyat kaa jhaNDaa hai ab nishaa.n hamaaraa lo aaj vaqt badalaa ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.