giitaayan An Interface to ISB

o parawaane shammaa ko apanii rusawaa na karanaa - Shamaa Parawaanaa (1954)  

Lyrics: Majrooh | Music: Husnlal-Bhagatram | Singer(s): Suraiya 
View in Nagari (Hindi)
o parawaane shammaa ko apanii rusawaa na karanaa -2 o parawaane ( rusawaa kiyaa gar tuune mujhii ko kyaa mu.Nh dikhaa_uu.Ngii mai.n kisii ko ) -2 o parawaane duniyaa ha.Nsegii aisaa na karanaa o parawaane shammaa ko apanii rusawaa na karanaa o parawaane ( ye imtehaa hai chup-chaap jal jaa Dhal jaa wafaa ke saa.Nche me.n Dhal jaa saa.Nche me.n Dhal jaa ) -2 o parawaane sabako sikhaa jaa jal-jal ke maranaa o parawaane shammaa ko apanii rusawaa na karanaa o parawaane ( ulfat hai baaqii har chiiz faanii ye Katm hotii hai ab ye kahaanii ) -2 o parawaane aatii huu.N mai.n bhii dam bhar Thaharanaa -2 o parawaane -2
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.