giitaayan An Interface to ISB

sar\-e\-mahafil jo jalaa parawaanaa - Shamaa Parawaanaa (1954)  

Lyrics: Majrooh | Music: Husnlal-Bhagatram | Singer(s): Suraiya, Rafi 
View in Nagari (Hindi)
ra : sar-e-mahafil jo jalaa parawaanaa -2 kar gayaa naam-e-wafaa parawaanaa -2 su : shammaa se siikhe wafaa parawaanaa -2 ye jalii hai to jalaa parawaanaa -2 ra : mar ke bhii rah na sakaa shammaa se duur -2 Kaaq ban-ban ke u.Daa parawaanaa -2 su : raat bhar shammaa kha.Dii jalatii rahii -2 is tarah jal na sakaa parawaanaa -2 ra : jaan de dii wahii.n kuchh der na kii -2 shammaa se pahale jalaa parawaanaa -2 su : shammaa kii aag me.n jalane aayaa -2 Kud na kyuu.N Kaaq hu_aa parawaanaa -3 ra : apanii lau me.n to sabhii jalate hai.n -2 shammaa kii lau me.n jalaa parawaanaa -3 kar gayaa naam-e-wafaa parawaanaa -2
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.