giitaayan An Interface to ISB

tumhe.n mai.n agar apanaa saathii banaa luu.N - Shatranj (1969)  

Lyrics: S H Bihari | Music: Shankar-Jaikishan | Singer(s): Rafi, Asha 
View in Nagari (Hindi)
la : tumhe.n mai.n agar apanaa saathii banaa luu.N bataa do saath doge kahaa.N tak ra : zamii.n se jahaa.N aasamaa.N mil rahaa hai na chho.De.nge daaman tumhaaraa vahaa.N tak la : yahaa.N har qadam par na_ii dilaqashii hai kahaa.N tak tumhaaraa bharosaa karuu.N mai.n ra : du_aa hai ke benuur ho jaa_e.N aa.Nkhe.n kisii aur kii jo tamannaa karuu.N mai.n la : salaamat hai.n jab tak ye zulfo.n ke saa_e to phir aur kisakaa aramaan hogaa ra : tumhaare hii qadamo.n me.n maranaa hu_aa to ye maranaa kitanaa aasaan hogaa
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.