giitaayan An Interface to ISB

jis karanii se maalik ruuThe ... o maaTii ke putale - Sheroo (1957)  

Lyrics: Kaif Irfani | Music: Madan Mohan | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
jis karanii se maalik ruuThe kabhii na kar vo kaam kabhii na le tuu kisii se badalaa teraa badalaa le.nge raam o maaTii ke putale itanaa na kar tuu Gumaan pal bhar kaa tuu mehamaan o maaTii ke putale ... tuune prabhuu ko dhan me.n Dhuu.NDhaa kabhii na apane man me.n Dhuu.NDhaa bhuul gayaa maayaa ke ba.nde tujh me.n base bhagavaan o maaTii ke putale ... maalik se kuchh chhupaa nahii.n hai kaun hai jag me.n kaisaa maalik to hai pyaar kaa bhuukhaa log cha.Dhaa_e.N paisaa dhan ke lobhii ye naa jaane.n kyaa maa.Nge bhagavaan o maaTii ke putale ... jag hai vo hii banaane vaalaa tuu hai kaun miTaane vaalaa chho.D de usape saarii baate.n o muurakh insaan o maaTii ke putale ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.