giitaayan An Interface to ISB

ik baat kahuu.N vallaah ... kaho kaisii rahii - Shreeman Satyawaadi/ Satyamev Jayate (1960)  

Lyrics: Gulzar | Music: Duttaram | Singer(s): Mukesh, Suman, Mahendra Kapoor 
View in Nagari (Hindi)
ma : ik baat kahuu.N vallaah yah husn subhaan-allaah jab naam liyaa dil thaam liyaa kaho kaisii rahii su : bas tumane qadar kii hai kyaa Kuub nazar kii hai diladaar mile to aisaa mile kyaa baat kahii mu : aise ko mile taise yah tumako mile jaise jab ishq nahii.n to kuchh bhii nahii.n kaho kaisii kahii su : duniyaa me.n hasii.n na hote ma : jii ham bhii kahii.n naa hote mu : hamase hai tumhaarii shoKii kyaa hotaa hamii.n naa hote -2 ma : ham naaz uThaate hai.n ruuTho.n ko manaate hai.n mu : jab ishq nahii.n to ... su : yah ruup hai to ye ra.ng hai ma : jiine ke yahii to Dha.ng hai.n mu : jii aapake haatho.n hii to yah mard bichaare ta.ng hai.n -2 ma : yah tirachhii nazar qaatil tum ho to javaa.N hai dil mu : jab ishq nahii.n to ... su ; ham hai.n to dha.Dakate hai.n dil -2 ma : tum ho to machalate hai.n dil mu : suurat pe nahii.n jaate ham is dil se parakhate hai.n dil sach kahane ke aadii hai.n ham to satyavaadii hai.n mu : jab ishq nahii.n to ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.