giitaayan An Interface to ISB

andherii raato.n me.n ... jise log shahanashaah kahate hai.n - Shehanshaah (1988)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: Amar-Utpal | Singer(s): Kishore 
View in Nagari (Hindi)
andherii raato.n me.n sunasaan raaho.n par -2 har zulm miTaane ko ek masiihaa nikalataa hai jise log shahanashaah kahate hai.n andherii raato.n me.n ... jaise nikalataa hai tiir kamaan se -2 dekho ye chalaa vo nikalaa vo shaan se usake hii kisse sabakii zubaan pe vo baat hai usakii baato.n me.n andherii raato.n me.n ... aise bahaadur dekhe hai.n tho.De -2 zulm-o-sitam kii za.njiir to.De piichhe pa.De to piichhaa na chho.De ba.Daa hai zor usake haatho.n me.n andherii raato.n me.n ... shahar kii galiyo.n me.n vo phirataa hai -2 dosto.n se dost banakar milataa hai dushmano.n ke sar par aise girataa hai jaise bijalii gire barasaato.n me.n andherii raato.n me.n ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.