giitaayan An Interface to ISB

phir vohii shaam, vahii Gam, vahii tanahaa_ii hai - Jahanara (1964)  

Lyrics: Rajinder Krishan | Music: Madan Mohan | Singer(s): Talat 
View in Nagari (Hindi)
phir vohii shaam vahii Gam vahii tanahaaI hai dil ko samajhaane terii yaad chalii aaI hai phir tasavvur tere pahaluu me.n biThaa jaaegaa phir gayaa vaqt gha.Dii bhar ko palaT aaegaa dil bahal jaaegaa aakhir ye to saudaaI hai phir vohii shaam ... jaane ab tujh se mulaaqaat kabhii ho ke na ho jo adhuurii rahe vo baat kabhii ho ke na ho merii ma.nzil terii ma.nzil se bichha.D aaI hai phir vohii shaam ... phir tere zulf ke rukhasaar kii baate.n ho.ngii hijr kii raat magar pyaar kii baate.n ho.ngii phir muhabbat me.n ta.Dapane kii qasam khaaI hai phir vohii shaam ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.