giitaayan An Interface to ISB

achchhaa unhe.n dekhaa hai biimaar huii aa.Nkhe.n - Shankar Hussain (1977)  

Lyrics: Kaifi Azmi | Music: Khayyam | Singer(s): Aziz Nazan, Babban Khan, chorus 
View in Nagari (Hindi)
achchhaa unhe.n dekhaa hai, biimaar huii aa.Nkhe.n murajhaaii-sii rahatii hai, ghabaraaii-sii rahatii hai.n maashuuqo.n kii mahafil me.n sharmaaii-sii rahatii hai.n kyaa jaane huaa kyaa hai, patharaaii-sii rahatii hai.n achchhaa unhe.n dekhaa hai, biimaar huii aa.Nkhe.n shoKhii bhii luTaa baiThii.n mastii bhii ga.Nvaa baiThii.n uThatii hai.n na jhukatii hai.n, kyaa rog lagaa baiThii.n e yaar, kyaa rog lagaa baiThii.n ki biimaar huii aa.Nkhe.n achchhaa unhe.n dekhaa hai, biimaar huii aa.Nkhe.n kis tarah haTe dar se, vaadaa hai sitamagar se kahatii hai lagan dil kii, vo chal bhii chuke ghar se hai faasalaa dam bhar kaa, phir dekh samaa.N ghar kaa vo hilane lagii chilaman, vo pardaa-e-dar sarakaa lo aa hii gayaa koii, e yaar, lo aa hii gayaa koii lo aa hii gayaa koii jo chaar huii aa.Nkhe.n sarashaar huii aa.Nkhe.n, sarashaar huii aa.Nkhe.n achchhaa unhe.n dekhaa hai, biimaar huii aa.Nkhe.n vo naqaab ruKh se uThaae kyo.n vo bahaar-e-husn luTaae kyo.n sar-e-bazm jalavaa dikhaae kyo.n tumhe.n a.Nkhiyo.n se pilaae kyo.n ki vo apane nashe me.n chuur hai jo nashe me.n chuur rahe sadaa use terii haal kaa kyaa pataa rahaa yuu.N hii dil kaa mu_aamalaa magar usakii koii nahii.n Khataa terii aa.Nkh kaa ye qasuur hai, aa.Nkho.n pe pa.Daa pardaa e yaar, aa.Nkho.n pe pa.Daa pardaa, laachaar huii aa.Nkhe.n achchhaa unhe.n dekhaa hai, biimaar huii aa.Nkhe.n hamane aaj ek Khvaab dekhaa hai Khvaab bhii laajavaab dekhaa hai koii taabiir isakii batalaao raat ko aaftaab dekhaa hai yaanii zi.ndaa sharaab dekhoge husn ko be-naqaab dekhoge raat ko aafataab dekhaa hai subah ko maahataab dekhoge chaa.Ndanii me.n uThii ghaTaa jaise dar-e-maiKhaanaa khul gayaa jaise ye fasaanaa sahii hasii.n to hai nashe me.n rach ga_ii adaa jaise koii tumasaa bhii ho na diivaanaa tum haqiiqat ko samajhe afasaanaa chaa.Ndanii usakaa ra.ng, zulf ghaTaa aur vo aa.Nkhe.n hai.n baad-e-maiKhaanaa maiKhaane me.n pahu.Nchii to, e yaar, maiKhaane me.n pahu.Nchii to maiKhvaar huii aa.Nkhe.n, gul_naar huii aa.Nkhe.n achchhaa unhe.n dekhaa hai, biimaar huii aa.Nkhe.n sunate hai.n us dar pe jaake sar jhukaanaa manaa hai sar jhukaa bhii le.n agar to baiTh jaanaa manaa hai baiTh bhii jaae.N kisii kone me.n to kyaa faayadaa jis taraf vo ho.n udhar nazare.n uThaanaa manaa hai aur agar nazare.n uThe.n to dard-e-dil ko kyaa kare.n dard-e-dil kaise miTe aa.Nsuu bahaanaa manaa hai aur agar aa.Nsuu bahaae.N bhii to vo dekhe.nge kyo.n aah bharanaa shor karanaa gul machaanaa manaa hai gul machaayaa bhii to matalab kis tarah samajhe.nge vo haay! matalab saaf-saaf un ko bataanaa manaa hai aur agar matalab bataayaa to bhii to vo de.nge javaab dil lagaayaa tum ne kyo.n jab dil lagaanaa manaa hai dil kaa na kahaa maanaa, e yaar, dil kaa na kahaa maanaa dil kaa na kahaa maanaa, Gaddaar huii aa.Nkhe.n achchhaa unhe.n dekhaa hai, laachaar huii aa.Nkhe.n laachaar huii aa.Nkhe.n, maiKhvaar huii aa.Nkhe.n achchhaa unhe.n dekhaa hai, maiKhvaar huii aa.Nkhe.n maiKhvaar huii aa.Nkhe.n, gul_naar huii aa.Nkhe.n achchhaa unhe.n dekhaa hai, gul_naar huii aa.Nkhe.n gul_naar huii aa.Nkhe.n, sarashaar huii aa.Nkhe.n achchhaa unhe.n dekhaa hai, sarashaar huii aa.Nkhe.n achchhaa unhe.n dekhaa hai
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.