giitaayan An Interface to ISB

vatan ke fasaane vatan kii kahaanii - Waapasi Saajan Ki (1995)  

Lyrics: Azad Jullundhary | Music: Anand-Milind | Singer(s): Suresh Wadkar, Mohammed Aziz, Mukul Agrawal 
View in Nagari (Hindi)
puurab se ik pyaaraa jho.nkaa pavan u.Daakar laa_ii aaj achaanak dilabar aayaa yaad vatan kii aa_ii vatan ke fasaane vatan kii kahaanii sataane lagii hai.n vo yaade.n puraanii vatan ke fasaane ... meraa ek nanhaa saa beTaa thaa pyaaraa kabhii usako dekhaa nahii.n phir dubaaraa kisii haadase me.n vo gum ho gayaa thaa achaanak kahii.n bhii.D me.n kho gayaa thaa li_e ghuumataa huu.N mai.n usakii nishaanii vatan ke fasaane ... ta.Dapatii rahii merii biivii bechaarii ka_ii saal karatii rahii i.ntazaar vatan chho.Dakar aisaa parades aayaa bahut der usako naa mai.n dekh paayaa badal ga_ii bu.Dhaape me.n usakii javaanii vatan ke fasaane ... mai.n rotii hu_ii apanii maa.N chho.D aayaa mai.n mamataa bharaa usakaa dil to.D aayaa naa paradesh jaa tuu mujhe Tokatii thii vo ro ro ke rastaa meraa rokatii thii magar ek bhii usakii maine naa maanii vatan ke fasaane ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.