giitaayan An Interface to ISB

o saathiyaa saare sahaare TuuT jaa_e.N - Vidhaataa/ Creator Of Universe (1982)  

Lyrics: Anand Bakshi | Music: Kalyanji-Anandji | Singer(s): Lata 
View in Nagari (Hindi)
o saathiyaa -2 saare sahaare TuuT jaa_e.N ruuTh jaa_e.N log hamase kyaa hu_aa teraa sahaaraa huu.N mai.n meraa sahaaraa hai tuu teraa sahaaraa huu.N mai.n o saathiyaa ... ik duuje ke ho jaa_e.N ik duuje me.n kho jaa_e.N -2 mahalo.n se achchhii galiyaa.N chal apane ghar jaa_e.N ho aa thaam le tuu merii baa.Nhe.n sab nigaahe.n pher le.n to kyaa hu_aa pyaar kii dhaaraa huu.N mai.n meraa kinaaraa hai tuu pyaar kii dhaaraa huu.N mai.n o saathiyaa ... jiinaa hai ham jii le.nge zaKmo.n ko bhii sii le.nge -2 aayaa jo pyaasaa saavan apane aa.Nsuu pii le.nge o ban jaa_e.N kaa.NTe phuul saare ye nazaare Duub jaa_e.N kyaa hu_aa terii nazar huu.N mai.n meraa nazaaraa hai tuu terii nazar huu.N mai.n o saathiyaa ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.