giitaayan An Interface to ISB

dil dha.Dakane kaa sabab yaad aayaa - Meraz-E-Ghazal (Non-Film)  

Lyrics: Nasir Kaazmi | Music:  | Singer(s): Asha 
View in Nagari (Hindi)
dil dha.Dakane kaa sabab yaad aayaa vo terii yaad thii ab yaad aayaa aaj mushkil thaa s.ambhalanaa ai dost tuu musiibat me.n ajab yaad aayaa din Guzaaraa thaa ba.Dii mushkil se phir teraa vaadaa-e-shab yaad aayaa teraa bhuulaa hu_aa paimaan-e-vafaa mar rahe.nge agar ab yaad aayaa phir ka_ii log nazar se guzare phir ko_ii shahar-e-tarab yaad aayaa haal-e-dil ham bhii sunaate lekin jab wo ruKasat hu_e tab yaad aayaa baiTh kar saayaa-e-gul me.n 'naasir' ham bahut ro_e vo jab yaad aayaa
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.