giitaayan An Interface to ISB

pyaas kuchh aur bhii bha.Dakaa dii jhalak dikhalaake - Laalaa Rukh (1958)  

Lyrics: Kaifi Azmi | Music: Khayyam | Singer(s): Talat, Asha / Asha 
View in Nagari (Hindi)
ta: pyaas kuchh aur bhii bha.Dakaa dii jhalak dikhalaake tujhako paradaa rukh-e-roshan se haTaanaa hogaa aa: itanii gustaaK na ho ishq kii aavaaraa nazar husn kaa paas nigaaho.n ko sikhaanaa hogaa ta: tujhako paradaa rukh-e-roshan se haTaanaa hogaa aa: husn kaa paas nigaaho.n ko sikhaanaa hogaa ta: chaa.Nd taaro.n ko mayassar hai nazaaraa teraa merii betaab nigaaho.n se ye paradaa kyo.n hai aa: chaa.Nd aa_iinaa meraa, taare mere naqsh-e-kadam Gair ko aa.Nkh milaane kii tamannaa kyo.n hai ta: tujhako paradaa rukh-e-roshan se haTaanaa hogaa aa: husn kaa paas nigaaho.n ko sikhaanaa hogaa ta: tujhako dekhaa tujhe chaahaa tujhe puujaa mai.n ne bas yahii isake sivaa merii Kataa kyaa hogii aa: hamane achchhaa kiyaa ghabaraake jo mu.Nh pher liyaa isase kam dil kii ta.Dapane kii sazaa kyaa hogii ta: tujhako paradaa rukh-e-roshan se haTaanaa hogaa aa: husn kaa paas nigaaho.n ko sikhaanaa hogaa ta: pyaas kuchh aur bhii bha.Dakaa dii jhalak dikhalaake tujhako paradaa rukh-e-roshan se haTaanaa hogaa aa: itanii gustaakh na ho ishq kaa aavaaraa nazar husn kaa paas nigaaho.n ko sikhaanaa hogaa % % Asha solo version % pyaas kuchh aur bhii bha.Dakaa dii jhalak dikhalaa ke tujhako paradaa ruK-e-roshan se haTaana hogaa chaa.Nd me.n nuur na taaro.n me.n chamak baaqii hai ye a.Ndheraa merii duniyaa kaa miTaanaa hogaa ai mujhe hijr kii raato.n me.n jagaanevaale jaa kabhii nii.nd judaaii me.n na aayegii tujhe subah Tapakegii terii aa.Nkh se aa.Nsuu banake raat siine kii kasak ban ke jagaayegii tujhe tujhako paradaa ruK-e-roshan se haTaana hogaa ye a.Ndheraa merii duniyaa kaa miTaanaa hogaa koii aramaa.N hai.N na hasarat hai, na ummiide.n hai.n ab mere dil me.n muhabbat ke sivaa kuchh bhii nahii.n ye muqaddar kii Karaabii ye zamaane kaa sitam bevafaa terii inaayat ke sivaa kuchh bhii nahii.n tujhako pardaa ruK-e-roshan se haTaana hogaa ye a.Ndheraa merii duniyaa kaa miTaanaa hogaa pyaas kuchh aur bhii bha.Dakaa dii jhalak dikhalaa ke tujhako paradaa ruK-e-roshan se haTaana hogaa
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.