giitaayan An Interface to ISB

ek din raadhaa ne ba.nsuriyaa ... ik baa.Ns kii thii - Vidyapati (1937)  

Lyrics: Kedar Sharma | Music: R C Boral | Singer(s): Pahari Sanyal 
View in Nagari (Hindi)
mahaaraaj suniye ek kahaanii ek din raadhaa ne ba.nsuriyaa na.ndalaal kii chupake se lii churaa ghar laa_ii uThaa aur krodh me.n aa bolii ki nigo.Dii sach balataa kyaa mantar hai kyaa jaaduu hai wo moh rakhaa hai jisase mohan ko ha.Ns kar baa.Nsuriyaa bolii yuu.N Thaharo sajanii batalaatii huu.N ik baa.Ns kii thii patalii sii nalii -2 ja.ngal me.n ugii ja.ngal me.n palii -2 taqadiir magar kuchh achchhii thii -2 madhusuudan ke mai.n haath lagii -2 ( sajanii jo kaTaa har a.ng meraa kuchh aur hii nikalaa ra.ng meraa ) -2 mai.n prem ko samajhii thii aisaa.N -2 sun kar hogii tum bhii hairaa.N -2 chhedo.n se meraa sinaa hai bharaa -2 aa haath lagaa kar dekh zaraa chhedo.n se bharaa sinaa hai meraa aa haath lagaa kar dekh zaraa ab tan kyaa hai ik taan sakhii -2 priitam ke svaarth hai jaan sakhii -3
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.