giitaayan An Interface to ISB

more a.nganaa me.n aaye aalii mai.n chaal chaluu.N matawaalii - Vidyapati (1937)  

Lyrics: Kedar Sharma | Music: R C Boral | Singer(s): Kanan Devi 
View in Nagari (Hindi)
( a.nganaa me.n aaye aalii mai.n chaal chaluu.N matawaalii ) -2 a.nganaa me.n aaye aa ai sunatii ho suno-suno u.n u.n mujhase kah rahe hai.n haa.N ye kaise giit gaa rahii hai kyuu.N jii ye to ba.De achchhe giit hai.n achchhe giit hai.n raadhaa-kishan ke prem ke giit hai.n raadhaa-kishan ke prem ke giit hai.n sunaa_o to suniyegaa baiThiye baiThiye aa_iiye baiThiye uh uh uh uh uh ah ha ha ha ha ha suniye raadhikaa apanii sahelii se kah rahii hai ke jab shrii krishn more a.nganaa me.n aaye aalii mai.n chaal chaluu.N matawaalii a.nganaa me.n aaye aa ( jab aa.Nchal hamaraa paka.De ham ha.Ns-ha.Ns unase bache ?? ) -2 cholii pe najariyaa aa jaaye cholii pe najariyaa jaaye morii chunarii lipaT mose jaaye haa.N haa.N chunarii lipaT mose bas bas rahane do tum mithilaa kii bahuu-beTiyo.n kaa satyaanaas karake chho.Dogii cholii pe uf jii zaraa sun to liijiye aur kyaa ab bhii kuchh baakii hai hum ( wo aur ba.Dhe.n more paiyaa.N pa.De.n kahe.n maano baat hamaarii ) -2 mai.n aah bharuu.N mukh pher kahuu.N -2 nahii.n maanuu.Ngii baat tehaarii haa.N nahii.n maanuu.Ngii baat tehaarii nahii.n maanuu.Ngii baat tehaarii tehaarii nahii.n maanuu.Ngii baat tohaarii haa.N nahii.n maanuu.Ngii baat tehaarii tumhaarii
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.