giitaayan An Interface to ISB

aa_o-aa_o honahaar o pyaare bachche ... tak-tak dhum-dhum - Do Aankhen Baarah Haath (1957)  

Lyrics: Bharat Vyas | Music: Vasant Desai | Singer(s): Lata, Chorus 
View in Nagari (Hindi)
la : aa_o aa_o honahaar o pyaare bachche pyaare bachche, umar ke kachche, baat ke sachche jiiwan kii ek baat butaa_uu.N -2 musiibato.n se Daro nahii.n buzadil ban ke maro nahii.n rote-rote kyaa hai jiinaa naacho dukh me.n taan ke siinaa -2 ko : tak tak dhum dhum -20 la : raat a.ndhiyaarii ho, ghirii ghaTaaye.n kaarii ho.n raastaa sunasaan ho, aa.Ndhii aur tuufaan ho.n ma.nzil terii duur ho -2 paa.Nv tere majabuur ho.n to kyaa karoge ruk jaa_oge ko : naa la : to kyaa karoge ko : tak tak dhum dhum -20 la : o insaano.n ke duHkh halkaan, karake apanaa sab qurabaan bebas kaa ghar bas jaaye, apanaa ghar jo uja.D jaaye auro.n ko karake aabaad -2 huye agar jo tum barabaad to kyaa karoge ro_oge ko : naa la : to kyaa karoge ko : tak tak dhum dhum -20 la : o jag me.n ghor la.Daa_ii ho, vatan pe aafat aa_ii ho ghar me.n ghuse luTere ho.n, aazaadii ko ghere ho.n banduuko.n kii maar ho -2 ba.De-ba.De laachaar ho.n to kyaa karoge Dar jaa_oge ko : naa la : to kyaa karoge ko : tak tak dhum dhum -20
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.