giitaayan An Interface to ISB

ra.ng aur nuur kii baaraat kise pesh karuu.N - Ghazal (1964)  

Lyrics: Sahir | Music: Madan Mohan | Singer(s): Rafi 
View in Nagari (Hindi)
ra.ng aur nuur kii baaraat kise pesh karuu.N ye muraado.n kii ha.nsii.n raat kise pesh karuu.N, kise pesh karuu.N maine jazabaat nibhaae hai.n usuulo.n kii jagah (2) apane aramaan piro laayaa huu.N phuulo.n kii jagah tere sehare kii ... tere sehare kii ye saugaat kise pesh karuu.N ye muraado.n kii hasii.n raat kise pesh karuu.N, kise pesh karuu.N ye mere sher mere aakhirii nazaraane hai.n (2) mai.n un apano.n mai.n huu.N jo aaj se begaane hai.n beta-aa-luK sii mulaakaat kise pesh karuu.N ye muraado.n kii ha.nsii.n raat kise pesh karuu.N, kise pesh karuu.N surkh jo.De kii tabotaab mubaarak ho tujhe (2) terii aa.Nkho.n kaa nayaa Kvaab mubaarak ho tujhe ye merii Kvaahish ye Kayaalaat kise pesh karuu.N ye muraado.n kii ha.nsii.n raat kise pesh karuu.N, kise pesh karuu.N kaun kahataa hai chaahat pe sabhii kaa haq hai (2) tuu jise chaahe teraa pyaar usii kaa haq hai mujhase kah de ... mujhase kah de mai.n teraa haath kise pesh karuu.N ye muraado.n kii ha.nsii.n raat kise pesh karuu.N, kise pesh karuu.N ra.ng aur nuur kii ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.