giitaayan An Interface to ISB

mai.n ban pata.ng u.D jaa_uu.N re - Dopatta (Pakistan) (1952)  

Lyrics: Arsh Lucknowi | Music: Firoz Nizami | Singer(s): Noorjehan 
View in Nagari (Hindi)
ho mai.n ban pata.ng u.D jaa_uu.N re hawaa ke sa.ng laharaa_uu.N, laharaa_uu.N re ho mai.n ban pata.ng u.D jaa_uu.N re tuu dharatii par mujhe bulaaye, mujhe bulaaye mai.n aakaash ko jaa_uu.N re -2 hawaa ke sa.ng laharaa_uu.N, laharaa_uu.N re ho mai.n ban pata.ng u.D jaa_uu.N re ( juganuu ban kar cham-cham chamakuu.N u.Datii phiruu.N hawaa_o.n me.n ) -2 ho barakhaa ban kar chham-chham barasuu.N ho chham-chham barasuu.N chhupatii phiruu.N ghaTaa_o.n me.n giit milan ke gaa_uu.N re -2 hawaa ke sa.ng laharaa_uu.N, laharaa_uu.N re ho mai.n ban pata.ng u.D jaa_uu.N re ( chandaa kii nagarii me.n jaa kar chhun-chhun naachuu.N-gaa_uu.N mai.n ) -2 ho chandaa taare.n sun-sun naache.n ho sun-sun naache.n aisaa giit sunaa_uu.N re uu.Nchaa nagar basaa_uu.N re -2 hawaa ke sa.ng laharaa_uu.N, laharaa_uu.N re ho mai.n ban pata.ng u.D jaa_uu.N re
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.