giitaayan An Interface to ISB

suNo shaab ... baap bhalaa na bha_iyaa ... sabase bhalaa rupaiyaa - Sargam (1950)  

Lyrics: P L Santoshi | Music: C Ramchandra | Singer(s): Lata, Chitalkar, Rafi, Chorus 
View in Nagari (Hindi)
chi : suNo shaab, suNo shaab, o bhaa_ii suNo apane des suu nikale the ham le ke luTiyaa-Dorii kau.Dii-kau.Dii jo.Dii ban gaye laalaa aaj karo.Dii mhaaro naam seTh karo.Dii paas hamaare hatthii gho.Daa phalTan fauj sipahiyaa lekin aise kaise baNe ham ra : bol duu.N baapuu chi : bol de beTaa ra : ( baap bhalaa na bha_iyaa bha_iyaa sabase bhalaa rupaiyaa ) -2 do : sabase bhalaa rupaiyaa, haay rupaiyaa haay rupaiyaa bha_iyaa sabase bhalaa rupaiyaa ra : baap bhalaa na bha_iyaa bha_iyaa sabase bhalaa rupaiyaa chi : ho ( rupay se sab banate hai.n kaam duniyaa hai rupaye kii Gulaam ) -2 jhuuTo raam-ramaiyaa bha_iyaa -2 sabase bhalaa rupaiyaa do : ( baap bhalaa na bha_iyaa bha_iyaa sabase bhalaa rupaiyaa ) -2 ra : baapuu ho baapuu chi : are kii hai baraKuradaar ra : kahanaa to nahii.n chaahiye lekin kyaa karuu.N huu.N laachaar chi : kii hai bol bhii ra : o kheto.n ke us paar -2 rahatii hai gorii gorii, Gariib kisaan kii chhorii mujhe hai isase pyaar baapuu mujhe hai isase pyaar chi : haay, kii kahe, kii kahe, pyaar kii hoy aa.Ny pyaar kii hoy ham to ek hii baat jaaNe la : bol duu.N baapuu chi : bol de beTaa la : baap bhalaa na bha_iyaa bha_iyaa sabase bhalaa rupaiyaa do : baap bhalaa na bha_iyaa bha_iyaa sabase bhalaa rupaiyaa la : o jhuuThii hai sab priit-muhabbat duniyaa me.n sachchii hai daulat jhuuThii hai sab priit-muhabbat jhuuThii hai sab priit-muhabbat duniyaa me.n sachchii hai daulat chi : hamarii jiivan-na_iyaa ko bas paisho paar laga_iyaa bha_iyaa paisho paar laga_iyaa hamarii jiivan-na_iyaa ko bas paisho paar laga_iyaa bha_iyaa sabase bhalaa rupaiyaa do : ( baap bhalaa na bha_iyaa bha_iyaa sabase bhalaa rupaiyaa ) -2 ra : Thiik hai baapuu, mai.n jaataa huu.N aap to jaane.n hai.n mai.n beqasuur huu.N liken majabuur huu.N chi : are kaThe jaaye, kaThe jaay, merii baat bhii to suN chi : terii Kaatir dekhii hai ek raajakumaarii, hai ek raajakumaarii jaa gho.Daa lay aa -2 kar jaaNe kii taiyaarii -2 hiire kii ha.Nsalii da_uu.Ngo, motii ko haar da_uu.Ngo lekin badale me.n raajaa se, ek-ek ke hajaar la_uu.Ngo ra : kyaa shaadii bhii hai byopaar chi : haa.N beTaa, ek-ek ke baNe hajaar ii kalamu.Nhii ko chho.D, tuu pyaar se mu.Nh mo.D are paise se naataa jo.D ra : Thiik hai baapuu, maanataa huu.N mai.n aapakii baat laa_iye wo jevaraat chi : leh le, ba.Dhaa do_uu haath, e gho.Daa laa_o gho.Do ra : baapuu jii raam-raam hamane banaa liyaa hai kaam -2 aap jaise baap kii suurat bhii dekhanii hai haraam -2 la : jo beTe ke lagaate hai.n daam, aur karate hai.n biich bazaar nilaam chi : e e e kii kahe, kii kahe hamaarii saarii umar kii kamaa_ii ga_ii, chho.Do re haay da_iyaa la : bol duu.N baapuu chi : haa.N haa.N bol de beTaa do : ( baap bhalaa na bha_iyaa bha_iyaa sabase bhalaa rupaiyaa ) -2 sabase bhalaa rupaiyaa, haay rupaiyaa, haay rupaiyaa bha_iyaa sabase bhalaa rupaiyaa sabase bhalaa rupaiyaa, haay rupaiyaa, haay rupaiyaa
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.