giitaayan An Interface to ISB

ho duur desh se aa jaa re - Shokhiyaan (1951)  

Lyrics: Kedar Sharma | Music: Jamal Sen | Singer(s): Suraiya, Lata, Chorus 
View in Nagari (Hindi)
o ho duur desh se aa jaa re -2 aa jaa re, aa jaa re, mose rahaa nahii.n jaaye -2 mai.n moranii mar jaa_uu.Ngii aa taane de mohe saratiyaa ?? morii basii ha.Nsii u.Daaye chho.D ke jo jaaye paradesii -2 paachhe lauT na aaye -2 aa ke dhiir ba.ndhaa jaa re aa jaa re, aa jaa re, mose rahaa nahii.n jaaye -2 mai.n moranii mar jaa_uu.Ngii aa ban-ban bhaTakuu.N rain-diwas jiyaa kis bidh chal naahi.n paaye nagarii jo suunii bha_ii -2 phir nainaa kyuu.N bhar aaye nainaa kyuu.N bhar aaye naino.n kii pyaas bujhaa jaa re -2 aa jaa re, aa jaa re, mose rahaa nahii.n jaaye -2 mai.n moranii mar jaa_uu.Ngii aa uma.D-uma.D kar badaliyaa.N baras-baras tarasaaye.n saawan kii ye sautane -2 mohe aaTho.n pahar jalaaye.n aaTho.n pahar jalaaye.n saawan ko samajhaa jaa re -2 aa jaa re, aa jaa re, mose rahaa nahii.n jaaye -2 mai.n moranii mar jaa_uu.Ngii
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.