giitaayan An Interface to ISB

tere man me.n kaun ... jaa rii na bata_uu.N mai.n to - Angulimaal (1960)  

Lyrics: Bharat Vyas | Music: Anil Biswas | Singer(s): Lata, Meena Kapoor, Chorus 
View in Nagari (Hindi)
mii : tere man me.n kaun, nainan me.n kaun jiivan me.n kaun Dole praano.n me.n kaun, sapano.n me.n kaun, saa.Nso.n me.n kaun bole ko : tere man me.n kaun, nainan me.n kaun jiivan me.n kaun Dole praano.n me.n kaun, sapano.n me.n kaun, saa.Nso.n me.n kaun bole la : jaa jaa rii na bata_uu.N mai.n to naam chitachor kaa -2 chhupaa-chhupaa pyaar hai ye -2 chandaa chakor kaa jaa rii na bata_uu.N mai.n to naam chitachor kaa -2 jhuume.n ghaTaaye.n ghu.Ngharaale baalo.n me.n mukha.De pe chaa.Nd bali jaaye re ko : haa haa haa haa mukha.De pe chaa.Nd bali jaaye re la : haay niilii sii a.nkhiyaa.N, bhau.Nhe.n kamaan jaisii dekhe.n to jaan chalii jaaye re ko : ho ho ho ho dekhe.n to jaan chalii jaaye re mii : hai chhaliyaa kaun, khalabaliyaa kaun ra.ngaraliyaa ra.ng ghole ko : praano.n me.n kaun, sapano.n me.n kaun, saa.Nso.n me.n kaun bole la : jaa jaa rii na bata_uu.N mai.n to naam chitachor kaa -2 kaano.n me.n kuNDal, kaa.Ndhe dhanuSh dhare maathe tilak kii rekh hai ko : haa haa haa haa maathe tilak kii rekh hai la : haa jisake liye huye nainaa diiwaane mere wo meraa laakho.n me.n ek hai ko : ho ho ho ho wo meraa laakho.n me.n ek hai mii : hai rasiyaa kaun, manabasiyaa kaun, ghuu.NghaT ko chhup ke khole ko : praano.n me.n kaun, sapano.n me.n kaun, saa.Nso.n me.n kaun bole la : jaa jaa rii na bata_uu.N mai.n to naam chitachor kaa jaa rii na bata_uu.N mai.n to
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.