giitaayan An Interface to ISB

raat kalii ek khvaab me.n aa_ii, aur gale kaa haar huii - Buddha Mil Gaya (1971)  

Lyrics: Majrooh | Music: R D Burman | Singer(s): Kishore 
View in Nagari (Hindi)
raat kalii ek khvaab me.n aa_ii, aur gale kaa haar huii subah ko jab ham nii.nd se jaage, aa.Nkh tumhii se chaar huii raat kalii ek khvaab me.n aa_ii, aur gale kaa haar huii chaahe kaho ise, merii mohabbat, chaahe ha.Nsii.n me.n u.Daa do ye kyaa huaa mujhe, mujhako khabar nahii.n, ho sake, tum hii bataa do tumane kadam jo, rakhaa zamii.n par, siine me.n kyo.n jha.nkaar huii raat kalii ... aa.Nkho.nme.n kaajal, aur laTo.nme.n, kaalii ghaTaa kaa baseraa saa.Nvalii suurat, mohanii muurat, saavan rut kaa saveraa jabase ye mukha.Daa, dil me khilaa hai, duniyaa merii gulazaar huii raat kalii ... yuu.N to hasiino.n ke, mahajabiino.n ke, hote hai.n roz nazaare par unhe.n dekh ke, dekhaa hai jab tumhe.n, tum lage aur bhii pyaare baaho.n me.n le luu.N, aisii taman_naa, ek nahii.n, ka_ii baar huii raat kalii ...
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.