giitaayan An Interface to ISB

ham jiye.n yaa mare.n haay ham kyaa kare.n - Harishchandra Taramati (1970)  

Lyrics: Virendra Misra | Music: Hridaynath Mangeshkar | Singer(s): Asha, Usha Mangeshkar 
View in Nagari (Hindi)
ham jiye.n yaa mare.n haay haay ham kyaa kare.n ham jiye.n yaa mare.n haay ham kyaa kare.n -2 kyaa kare.n -3 haay ham kyaa kare.n -4 khil rahii chaa.Ndanii mast hai kaaminii ruup hai ra.ng hai a.ng me.n a.ng hai ruup hai ra.ng hai a.ng me.n a.ng hai mat lagaa tuu agan jal rahaa hai badan kab talak yuu.Nhii aahe.n bhare.n ham jiye.n yaa mare.n haay ham kyaa kare.n -2 phulajha.Dii hai umar jal rahe hai.n nagar har nazar tez hai ha.Ns rahii sej hai har nazar tez hai ha.Ns rahii sej hai tuune ghaayal kiyaa dekh luu.Ngii piyaa ham gunaaho.n se kaahe Dare.n ham jiye.n yaa mare.n haay ham kyaa kare.n -2 haa aa ( zi.ndagii dharm hai puNy hii karm hai ) -2 are chal ( zi.ndagii prem hai prem hii marm hai ) -2 pyaar tan se nahii.n pyaar man se karo isakaa matalab hai kyaa zi.ndagii bhar maro vaasanaa ke pare aa.Nkh kholo zaraa -2 tum bhii ho tum sahii ha.Ns ke bolo zaraa tum bhii ho tum sahii ha.Ns ke bolo zaraa do dino.n ke liye ruup hai ga.ndh hai -2 is liye bhog lo wo hii aanand hai -2 tum samajhate ho kyaa zi.ndagii aish hai aish ho yaa na ho kyaa wo upadesh hai saty hai zi.ndagii jhuuTh hai vaasanaa -2 vaasanaa ke binaa jhuuTh hai saadhanaa -2 bhog me.n tyaag hai tyaag aanand hai duur dekhegaa kyaa jo nazarband hai ruup hai do gha.Dii pyaar hai sarvadaa ek hai jhiil to ek hai narmadaa roshanii ke liye diip banakar jalo megh bankar chalo mom banakar galo zi.ndagii tyaag hai yaa ki vyaapaar hai jo ki Kudagarz hai usakaa dhikkaar hai usakaa dhikkaar hai -2 chalate duniyaa kaa dukh ham hare.n ham jiye.n yaa mare.n haay ham kyaa kare.n -3
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.