giitaayan An Interface to ISB

morayaa re ... jisane teraa naam liyaa - Kaalchakra (1987)  

Lyrics: Yogesh | Music: Vijay Batalvi | Singer(s): Suresh Wadkar, Chorus 
View in Nagari (Hindi)
( morayaa re, bappaa morayaa re morayaa bappaa morayaa re ) -2 morayaa re, bappaa morayaa re gaNapati bappaa morayaa -2 jisane teraa naam liyaa usake ma kaa usake tan kaa dukh tuune sab duur kiyaa gaNapati bappaa morayaa, ma.ngal muurti morayaa sha.nkar suman bhawaanii na.ndan, he gajawadan mahaan riddhi siddhi ke tum ho swaami, tum sabake bhagawaan ma.ngaladaataa buddhi vidhaataa, aisaa do waradaan karuu.N wa.ndanaa terii jab tak tan me.n rahe.n ye praaN -2 ham hai.n bhawasaagar kii lahare.n tum ho nirmal phuul hamako naath kshamaa kar denaa ho jaaye jo bhuul tujhako arpaN karate hai.n ham shraddhaa ke ye phuul ham tar jaaye.n mil jaaye jo charaNo.n ke ye dhuul -2 niraadhaar ke is dharatii pe tum hii ho aadhaar kabhii ba.nd na hu_aa tumhaarii dayaa daan kaa dwaar tumase hii to bhare huye hai.n GYaan ke ye bha.nDaar ham kyaa saare dev tumhaarii karate jay jayakaar
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.