giitaayan An Interface to ISB

ab ke tajadiid-e-wafaa kaa nahii.n imkaa.N jaanaa.N - (Non-Film)  

Lyrics:  | Music:  | Singer(s): Ghulam Ali 
View in Nagari (Hindi)
ab ke tajadiid-e-wafaa kaa nahii.n imkaa.N jaanaa.N yaad kyaa tujhako dilaaye.n teraa paimaa.N jaanaa.N zi.ndagii terii ataa thii so tere naam kii hai hamane jaise bhii basar kii teraa ahasaa.N jaanaa.N ab walawwal kii mohabbat ke nashe yaad to kar be piye bhii teraa cheharaa thaa gulistaa.N jaanaa.N muddato.n se yahii aalam na tawaqqo na ummiid dil pukaare hii chalaa jaataa hai jaanaa.N jaanaa.N ham ke ruuThii hu_ii rut ko bhii manaa lete the hamane dekhaa hii na thaa mausam-e-hijraa.N jaanaa.N yuu.Nhii mausam kii adaa dekh ke yaad aayaa hai kis kadar jald badal jaate hai.n insaa.N jaanaa.N
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.