giitaayan An Interface to ISB

rim jhim ke taraane leke aayii barasaat - Kala Bazar (1960)  

Lyrics: Shailendra | Music: S D Burman | Singer(s): Geeta, Rafi 
View in Nagari (Hindi)
(giitaa: rim jhim ke taraane leke aayii barasaat rafii: yaad aaye kisii se vo pahalii mulaaqaat ) - 2 (giitaa: bhiige tan man pa.De ras kii phuhaar rafii: pyaar kaa sandesaa laayii barakhaa bahaar ) - 2 giitaa: mai.n naa boluu.N, mai.n naa boluu.N aa.Nkhe.n kare.n a.Nkhiyo.n se baat rafii: rim jhim ke taraane leke aayii barasaat (rafii: sunake matavaale kaale baadalo.n kaa shor giitaa: ruum jhuum ghuum ghuum naache man kaa mor ) - 2 rafii: sapano.n kaa saathii chal rahaa mere saath giitaa: rim jhim ke taraane leke aayii barasaat rafii: yaad aaye kisii se vo pahalii mulAqaat dono: rim jhim ke taraane leke aayii barasaat (giitaa: jab milate ho tum to chhUTe.n dil ke taar rafii: milane ko tum se mai.n kyo.n thaa beqaraar ) - 2 giitaa: raha jaatii hai, raha jaatii hai kyo.n hoTho.n tak aake dil kii baat rafii: rim jhim ke taraane leke aayii barasaat giitaa: yaad aaye kisii se vo pahalii mulAqaat dono: rim jhim ke taraane leke aayii barasaat!
View the source file of the song for comments and contributor information.

Home - Submit a Song - Recently Posted Songs


vinay p jain. march 2013. giitaayan at gmail dot com. Disclaimer. ISB Copyright Notice.